40 ke baad life ka kya matlab? Ghar suna, mann uda, kya karein?
Aaj subah uthi toh mann kiya hi nahi. Bas pade rahe. Bacche hostel me hain, pati Dubai trip pe. Ghar mein itna silence ki kaan bajte hain. Kya purpose hai ab? 40 ke baad life ka kya matlab? Pehle bacchon ke school, unke exams, unki hobbies mein busy thi. Ab unka phone call bhi miss ho jaye toh koi tension nahi. Par khud ko tension ho jati hai ki main kya kar rahi hoon.
Kal ek friend ne bola, "Yoga karo, knitting seekho." Par jab mann hi nahi karta toh kuch kaam nahi hota. Aaj maine ek plant khareeda. Choti si tulsi. Use paani diya toh lag raha hai kuch zaroorat poori ho rahi hai. Shayad living things ka khayal rakhna purpose ho sakta hai? Pata nahi. Kisi aur ko bhi aisa feel hota hai? Ya main hi weird hoon?

Community Discussion